Wo bad mudat k jab mila to,
us nay pocha,
Ye khushk zulfain,
Ye bheegi palkain,
Ye dasht ankhain,
Ye kaasni lab,
Kidhar ganwa diye?
Wo shokh ankhain,
Wo narm batain,
Wo surkh aariz,
Wo garam sansain,
Wo khil k hansna,
Wo cheh'chahana,
Kya hova hai?
Kidhar gaya Sab?
To main ye bola,
Mohabaton ka hasol hai ye,
Aur wafa ka sila yahi hai,
Lutta k sapnay,
Ganwa k ankhain,
Mohabaton mein mila yahi hai...
No comments:
Post a Comment