Tuesday, 28 January 2014

EK SHAKHS KO DEKHA THA TAROON KI TARHA HAM NAY "GHAZAL"

Aik Shakhs Ko Dekha Tha Taroon Ki Tarha Ham Nay,, Aik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarha Ham Nay,, Aik Shakhs Ko Samjha Tha Phoolon Ki Tarha Ham Nay,, Wo Shakhs Qyamat Tha Kia Uss Ki Karen Baten,, Din Uss K Liye Paida Aur Uss Ki Hi Thi Ratein,, Kab Milta Kisi Say Tha Ham Say Then Mulakaten,, Rang Uss Ka Shahabi Tha Zulfoon Mein Then Maikharen,, Ankhen Then K Jadu Tha,, Palken Then K Talwaren,, Dushman Bhi Agar Dekhen Tu Jaan Say Dil Haren,, Kuch Tum Say Wo Milta Tha Batoon Mein Shbaahat Thi,, Han Tum Sa Hi Lagta Tha Shokhi Mein Sharart Mein,, Lagta Bhi Tum Hi Sa Tha Dastoor_e_Mohabat Mein,, Wo Shakhs Hamen Aik Din Apno Ki Tarha Bohla,, Taroon Ki Tarha Doba Pholoon Ki Tarha Tota,, Phir Hath Na Aya Wo Ham Nay Bohat Dhonda,, Tum Kis Liye Chonkay Ho Kab Zikar Tumhara Hai,, Kab Tum Say Takaza Hai Kab Tum Say Shikayat Hai,, Aik Taza Hikayat Hai Sun Lo Tu Inayaat Hai, Aik Shakhs Ko Daikha Tha Taron Ki Tarha Ham Nay,, Aik Shakhs Ko Chaha Tha Apnoo Ki Tarha Ham Nay,, Aik Taza Hikayat Hai Sun Loo Tu Inayat Hai,,,,,,,,!

No comments:

Post a Comment